Rota hai bachpan yaha sadko pe
Sota hai gareeb yaha bin kapdo ke,
Maa din bhar majdoori krti,
Parivar joojh raha gareebi se barso se,Yaha bachche bachpan me samajhdar ban jate hai,
Hamare pass kuch nahi hai,ye seekh jate hai,
Apni aukat ko achchi tarah samajh jate hai,
Nange pair Ghumte hai sadko pe,kamakar late hai,Choti umar me kamana seekh jate hai,
Apna ghar or baap ki buri aadat palte hai,
Main inko or khud or ek hi tarah samajhta hu,
Na main inke liye kuch kar pata hu,
Na ye apne liye kuch jyada kar pate hai,
Do waqt ki roti mil jaye,isi ke liye poora din mehnat krte hue guzar dete hai,Chehre ki mayusi,Ankho ke sapne sab jatate hai,
Has bol kar sabse, dil ka dard chupate hai,
Jis din na ho kamai,chup rahe,bhuke so jate hai,
Ek din bheekh mangne wale ,mehelo me jake baithe hai,Desh ke jo malik the kal, vo aaj chokhat par baithe hai,
Na vo inki sunta hai,na hum inki sunte hai,
Jaha ye dikh jaye,chehra fer ke chalte dikhte hai,
Insaan insaan kehlane k kaam nahi karta,
Nai to is dhara(dharti) par koi bhukha na marta,
Nai rota bachpan yaha futpath pe,. Na dhoop me sadta,
Nice story
LikeLiked by 1 person
Thanks
LikeLike
Right bro
Awesome story
LikeLiked by 2 people
Niceeeee linessss👌👌👌
LikeLiked by 2 people
Superb bhai dil ki ghrae se likh di line
LikeLiked by 2 people